Chocolate day
Valentine week ka 3rd din yani ki 9th feburary chocolate day duniya bhar mein manaya jata hai chocolate day ke roop mein yah din bacchon yuva bujurgon sabhi ka pasandida hai. Is din doston, premiyon aur lovers ko chocolate di jaati hai chocolate kis ka pasandida nahin hota pratyek vyakti ko chocolate khana pasand hota hai. Is din chocolate ki bahut bikri hoti hai chocolate dekar log samne wale ki ahmiyat, mahatva & apne prem ko pradarshit karte hain, shayad hi koi aisa ho jise chocolate ka naam sunkar uske munh mein pani na aaya ho khas taur per yah Ladkiyon ko bahut hi pasand hoti hai aur yah gift den mein bhi popular hai.
Ham sab ne vaise to bahut chocolate khai hai lekin kya hum chocolate ki history jante hain.
To doston aaj ham jante hain chocolates ki shuruaat kaise hui?
Chocolate shabd ke bare me bhut se tathya hai kuchh ke anusaar yh shabd Spanish bhasha ka hai. Chocolate shabd Madhya Amereeki sabhyataon se sambandhit hai. 'Aesteke' Ki bhasha Nehutal ke anusar chocolate Shabd ka Arth hota hai Khatta ya Kadva. Chocolate ki Pramukh samagri coco k ped Ki Khoj do hazar saal pahle America Ke varsha vano Mein ki Gai Thi is ped ki faliyan mein jo Bheej hote hain Unse chocolate Banai Jaati Hai.
Sabse pahle Mexico aur mid ameriki Logon Ne chocolate Banai Thi 1528 Mein Jab Spain ne Mexico Per kabja Kiya To vahan Ka Raja ne Bhari Matra Mein coco ke bijon ka chocolate Banane Wale yantra ko Apne Sath Spain Le Gaya. jaldi hi yah Spainish logon ka fashionable drink ban gaya. Italy ke Ek Yatri Francisco callyartee ne Spain ki chocolate per Ek Adhikar Ko khatm Kiya. Usne Madhy America's Indian ko chocolate banate dekha aur apne desh Italy mein bhi Chocolate Ka prachar Prasar Kiya. 1606 tak Italy mein bhi chocolate kafi lokpriy ho gai thi. 1615 may France Ke Logon Ne Bhi Chocolate Ka Swad chakha vahan Ke Logon Ko yah bahut hi Swasthya Kari aur swadisht Laga Vahi England Mein Chocolate Ka aagman 1650 mein hua abhi tak log chocolate ko drinks Ki Tarah hi Peete the. Ek Angrej doctor Sar Hans Lene Ne Dakshin America ka Daura Kiya chocolate khane ki recipe vahin Usi ne Dekh kar Banai. Sunane Mein Hai Ajeeb Ki Ek Doctor aur chocolate ki recipe ka kya sambandh hai Magar yah Sach Hai Ki Cadbury chocolate ki recipe ISI doctor ne Banai Thi Jo ki aaj duniya bhar Mein Apne chocolate utpadan ke liye bahut hi mashhur hai. pahle america ke log coco ke bijon ko piskar ismein chilli & vanilla powder milakar chocolate drink banaya karte the yah teekha padarth hota tha chocolate ka meetha banane ka shrey europe ko jata hai jisne chocolate se mirch hatakar dudh aur shakkar dal ise peene se khane ki chij banai.
Chocolate se jude kuchh majedaar facts
1. Chocolate banane ki sabse pahle machine 1780 Spain ke Barcelona Mein Banai Gai thi.
2. Duniya Ke 40 percent badam ka use chocolate Banane mein ho jata hai.
3. America me chocklate Ki Sabse Badi purani company Hai Harshey's hai jo Har Sal 40 karod Kilo chocklate ka utpadan krti hai.
4. America mein har second 100 pound chocolate khai jaati hai.
5. Ek chocolate ki chip khane se vyakti Mein 150 metre chalne ki Urja a Jaati Hai.
6. Prachin sabhyata Mein Coco ki acchi fasal ke liye Insan Ki Bali chadhai jaati thi.
7. Adolf Hitler ko chocolate bahut pasand Thi vah Ek Din Mein kam se kam 1 kilo chocolate kha jata tha.
To ab jante hain ki chocolate khane ke kya kya fayde hote hain
1.yah depression kam karta hai.
2. energy se Bhar deta hai.
3. mood accha kar deta hai.
To kaisi lagi apko chocolate se judi yah jankariyan comment kr k hme jroor bataye aur share krna na bhoole.😘
Fall In Love With Chocolate Day
Reviewed by Discover Yourself
on
November 19, 2019
Rating:
Wow
ReplyDelete