Vishva ki tamam sanskriti mein utsav Aur tyoharon ka prachalan raha hai.
Bharat mein pratyek dharm samprday Ke log rahte hain Bharat mein har Prakar ke tyohar manaye Jaate hain Valentine ka tyohar Prem ka parv hai jyadatar angreji bolane wale deshon mein hi manaya jata hai parantu aajkal Bharat jaise deshon mein bhi prachalit ho gaya hai. February ke shuruaat mein hi Yuvaon mein Valentine Parv ka utsah dikhne lagta hai.per kabhi aapane yah Socha hai Ki Valentine de kyon manaya jata hai ? agar aapko nahin pata to aaiye jante hain kya hai Valentine day ki kahani.

Kyon Manaya Jata Hai Valentine Day
Valentine festival sant Valentine ki yad mein manaya jata hai 3rd shatabdi mein Rom mein samrat claudius ka shasan tha claudius kamana tha ki avivahit sainik vivah sainikon ki apeksha jyada prabhavkari Sevayen de paate hain kyun ki vivahit sanikon ko keval apne parivar ki hi fikra rahti hai yahi sab sochkar samrat ne aagya jari kar di ki koi bhi sainik vivah nahin karega.
Sainikon ko yah pata tha ki samrat ki hai aagya anuchit hai parantu vah samrat ki aagya ka ullanghan nahin kar sakte the atah sabhi sainikon ne yah aagya swikar kar li. Is baat ka pata jab vahan ke sant Valentine ko chala to unhone samrat ki aagya ka virodh kiya aur gupt roop se sainikon ki shaadiyan karvane lage.
Samrat ko jb is baat ka pata chala to unhone sant Valentine ko kaid karva diya. Vahan ka jalor jiska naam Asterius tha uski beti andhi thi use sant ki chamatkari shaktiyan ka pata tha ki Valentine kisi ko bhi theek kar sakte hain usne apni beti ko thik karne ki prathna ki sant Valentine ne uski prathna swikar ki aur uski beti ko theek kar diya iske bad uski beti aur sant ki dosti ho gai aur jaldi hi dosti Pyar mein badal gayi.
Idhar samrat ne Valentine ko fansi ki saja sunai . Fansi ka din 14 February ko nishchit kiya gaya aakhri din sant Valentine ne apni premika (jailor ki beti) ko Patra likha use phool bheja us Patra mein khud ko "Tumhara Valentine" naam se sambodhit kiya 14 February 269 A.D. ko unhen fansi di gai. 'Via Flaymaniyah' mein Valentine ko dafnaya gaya unke avshesh ROM ke saint praksed church mein aur Dublin Ireland ke wide free Street mein rakhe Gaye Hain aaj bhi unke aakhri sabd "Tumhara Valentine" ko log "Your Valentine" naam se sambodhit karte Hain. 14 February ka din sant Valentine ki shahadat ka din hai. Kahate hain prem amar hota hai sant Valentine bhi apni sahadat ke karan Valentine day ko yad kiye jaate hain.
Doston to humne jana ki Valentine day kyon manaya jata hai agar aapko yah post acchi lagi ho to please comment aur share karna na bhule.
Happy Valentine's day 😘
Doston to humne jana ki Valentine day kyon manaya jata hai agar aapko yah post acchi lagi ho to please comment aur share karna na bhule.
Happy Valentine's day 😘
Kyu manaya jata hai Valentine day
Reviewed by Discover Yourself
on
October 30, 2019
Rating:
No comments: